How To Root LG K8 350z With TWRP Recovery Using PC In Hindi





Hi Guys, Kaafi dino ke baad post kar raha hu. I hope aapko pasand aayegi. Ye post khas Kar LG users ke liye hai. Iss post me hum baat karege LG K8 350z ko root kaise kare. Ye method LG k8 ke sabhi model par work karega jaise k350n, k350v, k350z etc. I mean LG k8 me jitne bhi models hai sabhi ke liye ye method work karega. LG device ko root karna bahut mushkil hota hai. Lg Ke jiyada Model aise hai jinko hum bina pc ke root nahi kar sakte. Aur pc se root karne ke liye bhi hume bahut mushkilo ka samna karna padta hai. Jaise Phone brick ho jana. Ya phir "Your device is corrupt is may not work properly " kuchh is trah ki error aane lagti hai but meine inn sabhi problems ka solution nikaal liya hai. Aapko bata du ki iss post ki request mere ek visitor Sandeep Gupta ne ki thi. So me sandeep gupta ko thanks bolna chahunga ki unhone mujhe post ke liye ek new topic diya. Aur mein ummeed karta hu ki Iss post ko read karne ke baad Sandeep Gupta ki problem solve ho jayegi i mean Inka phone root ho jayega. Rooting se related ye meri 2nd post hai. Agar aapne meri pichhli post nahi padhi to aap niche link par click karke padh sakte hai iss post me meine rooting ke baare me details se bataya hai.

Android Phone Root Kaise Kare Without PC

How to root lg k8 with twrp recovery


Iss phone ko hum TWRP Recovery ki help se root karege. Jiske liye humare phone ka bootloader unlock hona jaruri hai agar aapko bootloader unlock karna nahi aata to don't worry mein isi post me iske baare me bhi bataunga. Sabse pehle jaan lete hai Phone ko root karne ke advantage aur disadvantage.


Phone Root Karne Ke Advantage.

1. Rooted device ko aap custom rom se flash karke phone ko upgrade kar sakte hai.

2. Apne android device ka imei no. Repair kar sakte hai.

3. Battery life increase kar sakte hai.

4. Boot animation change kar sakte hai.

Android Phone Ka Boot Animation Kaise Change Kare

5. Kisi bhi game ya app ko modify kar sakte hai.

6. Kali Lenux install kar sakte hai.

7.Apne phone ke pre-loaded app uninstall kar sakte hai.

8. Kisi bhi apps ya games ko sd card me move kar sakte hai.

9. Titanium Backup use karke kisi bhi app ke data ka backup le sakte hai.

10. Sd Card use karke apne phone ki ram badha sakte hai.

Android Phone Ki Ram Kaise Badhaye. Using SD Card

 Yahan Hamne phone root karne ke 10 advantage bataye hai. Inke alawa bhi na jane kitne fayde hai. Agar mein aapko sabhi ke baare me batau to post bahut badi ho jayegi. Ab aapko batate hai ki phone root karne ke disadvantage kya hai.


Phone root karne ke disadvantage.

1. Phone ki warranty khatm ho jayegi. So agar aapka phone warranty me hai to better rahega phone ko root karne se pehle ek baar achhi tarah soch le.

3. Phone root karte waqt aapka phone brick ho sakta hai. Isliye mein aapko batana chahunga ki ise sirf aur sirf apne risk par hi kare agar aisa hota hai i mean aapka phone brick hota hai to isme meri ya iss site ki koi jimmewari nahi hogi.

3. Aapka phone pehle ke muqable jiyada secure nahi rahega. I mean aapke phone me monkey virus wagera aa sakta hai.

Bas yahi kuchh advantage aur disadvantage hai phone root karne ke. But in my case disadvantage ke muqable advantage jiyada hai. Because yaha hum lg k350 ki baat kar rahe hai isliye aapko bata du ki iss phone me sabse badi problems iski internal memory ki hai iss phone me 8GB internal storage di gayi hai. Jisme hume 2GB hi milti hai baaki me iske system apps hai. Jinko hum sd card me move karke internal storage increase kar sakte hai.

Volume Key Kar Sakti Hai Ye 10 Kaam

Requirements

1. PC ya Laptop

2. LG K8 Usb driver.   Download

3. Adb folder     Download     Tutorial

4. Twrp.img   Download

5. Recovery.emmc.win   Download

6. Rce.zip    Download

7. SuperSu.zip     Download

8. A Smart Brain

Ye kuchh chize hai jo lg k8 device ko root karne ke liye jaruri hai. Aap upar diye gaye link se twrp, recovery,rce, supersu File download kar sakte hai. Aapko bata du ki root karne se pehle apne pc ya laptop me adb install kar le. Agar aapko nahi pata ki adb kaise install karte hai to iske liye aap meri puchhli post padh sakte. Adb install karna bahut aasan hai. Uss post ko read karke aap only 15 seconds me adb install kar sakege.

Android Phone Me TWRP Recovery Kaise Install Kare. Without Pc


How to root LG k8.

1. Sabse pehle apne pc me LG usb driver install kare.

2. Apne phone ke devloper option me jaye aur OEM UNLOCK And Usb debugging on kare.

3. Twrp.img file copy kare aur C Drive me jaye waha ek ADB folder hoga twrp.img adb folder me paste kare.

4. Apne phone ko usb cable ke through pc se connect kare.

5. Adb folder open kare. Kahin bhi khali jagah Shift+Right key press kare.

6. Open command par click kare.

7. Command me adb reboot bootloader type kar enter hit kare.

Aapka phone adb mode me chala jayega. Isme kuchh seconds ka time lag sakta hai tab tak wait kare.

8. Fastboot oem unlock type kare aur enter key press kare.

9. Ab aapke phone ki screen par aapse bootloader unlock ke liye puchha jayega. Yaha aap volume up key press karke confirm kare.

10. Kuchh seconds wait kare aapke phone ka bootloader unlock ho jayega. Confirm karne ke liye fastboot getvar all type karke enter key press kare. Yaha aap pata laga sakte hai ki aapke phone ka bootloader unlock hua ya nahi. Agar aapke phone ka bootloader unlock hai to "Bootloader Unlock =Yes" Message show hoga.

11. Phone ki battery remove kar dobara lagaye. Aur phone ko on kare.

12. Phone on hone ke baad oem unlock and usb debugging on kare because bootloader unlock hone ke baad aapka phone reset ho jayega. Isliye aapko ye phir se on karne padege.

13. Adb folder me jaye aur Shift+Right key press karke command open kare.

14. Adb reboot bootloader type karke enter key press kare

15. Fastboot boot twrp.img type kare and enter key press kare.

Aapka phone twrp recovery mode me ho jayega

Android phone ke liye top 5 popular antivirus.

16. Jaise hi aapka phone recovery mode me jayega waha aapse password puchha jayega ise aap cancel kar de. Aur niche jo arrow bana hai use right side me swipe kare.

17. Ab backup me jaye. Jaise hi aap backup me jayege aapse puchha jayega ki aap kis kis cheez ka backup lena chahte ho. Yaha aap sirf boot ko select kare. And right swipe kare.

18. Backup complete hone ke baad apne phone ki battery remove kar dobara lagaye and phone on kare.

19. Phone on hone ke baad file maneger and sd card >> Twrp>>backups>>lg k8 etc. I mean aapko folder ke and tak matlab jahan aapka backup save hua hai waha jana hai.

20. Folder me jane ke baad waha se boot.emmc.win file delete kare.

21. Ab aapne jo recovery.emmc.win file download ki thi use iss folder me paste kare.

22. Ab apne phone ko pc se connect kare adb reboot bootloader command type kar enter kare.

23. Fastboot boot twrp.img type kar enter hit kare.

24. Aapka phone phir se recovery mode me open hoga. Password cancel kare. And right swipe kare.

25. Ab restore me jaye. And storage par click kare. Ab aapke samne recovery file aa jayegi isko tik kare. And swipe right kare.

26. Recovery flash complete hone ke baad recovery ke home me jaye. Home me jane ke liye aap apne phone ka back button use kar sakte hai.

27. Recovery ke home me jane ke baad "Reboot >> Recovery"  par click kare.

Yaha aapka phone ek error show karega "your phone is corrupt is may not work properly" but aapko yahan kuchh karne ki jarurat nahi. 2 - 3 baar error show hone ke baad aapka phone automatic on ho jayega. Agar automatic on na ho to aap on kar sakte hai.

28. Phone on hone ke baad phir se fastboot mode me kare. Fastboot mode me karne ke liye "adb reboot bootloader" type kar enter hit kare.

29. Fastboot boot twrp.img type kar enter key press kare.

30. Password cancel kare and install me jaye.

31. Yaha storage me sd card select kare.

32. Rce.zip file select karke right swipe kare.

33. Ab back kare and superSu file select karke right swipe kare.

34. Back jaye aur phir se rce.zip file select karke swipe right kare.

35. Finally. Reboot sytem kar click kare.

Yaha aapka phone 3-4 baar error show kar ke band hoga. But aapko yaha kuchh karne ki jarurat nahi hai. Phone automatically on ho jayega agar aisa nahi hota to aap on kar sakte hai. I hope aapka phone root ho gaya hoga. Agar aapko phone root karne me koi problem aa rahi hai to comment me bataye aapki puri help ki jayegi.

Ye Post Bhi Padhe >>

Blog (website) kaise banaye Online business ke liye.

Youtube ke liye adsense account kaise banaye.

Make Money Online Internet se paise kamane ke top 5 tarike.

Internet Se Paise Kamane Ka Sabse Best App.


About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post