Android phone ko root kaise kare. Without PC



Post image


Aapne mobile root to suna hi hoga agar nahi suna to don't worry aaj ki post me aap jaan jayenge ki root kya hai, phone ko root kaise kare, iska kya fayeda hai, rooted phone me hum bahut changing kar sakte hai jaise boot animation,  phone ki ram aur internel memory badha sakte hai,
 pre-install app ( jo app company deti hai ) unko delete kar sakte hai,
Aap apne phone ko apne hisaab se customize kar kar sakte hai
Jaise ki aap jante hai Root ko hindi me jad (जड) kehte hai yani aap apne phone ki jad (जड) tak pahuch sakte hai aur usse apne hisab se istemal kar sakte hai,

Ye post bhi padhe>>
MX Player Ac3 not support problem's solution -Hindi Me Jane

Facebook Par Unlimited Likes Kaise Le. Excellent Trick

Aaj ke time me bahut hi popular aur fayedand app aane lage hai inme se jyada app aese hote hai jo only rooted phone me hi work karte hai

To dosto aap jaan gaye honge ki phone ko root karne ke kitne fayde hai but phone root karne se kuch nukshan bhi hai.



Root karne ke disadvantage 

• Root karte samay aapka phone dead ho sakta hai

 Phone ki warranty khatam ho jayegi

• Rooted phone me Google wallet app install nahi kar sakte

 Rooted phone ko OTA process se updates nahi kar sakte hai.only zip file use karke phone update ho sakega.

1 Android mobile me 2 whatsapp kaise chalaye Without any app.

Facebook Par 1 Din Me 1000+ Request Kaise le Cyberlikers se

To friends ab aap samanjh gaye honge ki root kya hai, root karne ke fayeda, nuksan kya hai, aur root kaise kaam karta hai. Ab aapko batate hai ki apndroid phone ko root kaise kare, without PC, waise aise bahut se android app hai jinse hum bina pc ke phone root kar sakte hai but me aapko only un app se phone root karne ko kahunga jinko meine khud use kiya hai. Inn app se phone dead hone ke bahut kam chances hai.

Android Phone Ko Root Kaise Kare.

1. King root.  

ye app bahut se lolipop aur kitkat, Micromax, Intex, Lava, penasonic, jaise smartphone ko root karta hai. Is app ko meine kayi baar use kiya hai, isi liye meine ise first no. Par rakha hai. Aap ise neeche download botton se download kar sakte hai.



2. Kingo root.  

Kingo root bhi king root se milta julta hai. But usse achha nahi ye app bhi bahut se android kitkat phone ko root karta hai Jin kitkat phone ko kingroot root nahi karta un phone par aap ise try karke dekh sakte hai.



3. Vroot.  

Vroot bhi ek bahut achha rooting app hai is app ki help se meine jelly bean phone root kiya tha. Agar upat ke dono method fail ho jaye to aap ise use karke dekh sakte hai.




Whatsapp no. international no. me kaise change kare Without Sim 

Gmail account kaise banaye hindi me jane.

Meine aapko pehle bhi bataya tha ki mobile root karne ke internet par bahut app hai. Par un app ke baare me meine aapko isliye nahi bataya kyonki un app ko meine use nahi kiya. Meine jo app aapko bataye hai un app. se phone ko koi nuksan nahi hoga.
Agar aapko mobile root karne me koi problem aaye ya aapka mobile root nahi ho raha ho to aap hame comment karke puchh sakte


About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post

1 comments:

Click here for comments
Anonymous
admin
September 06, 2017 1:21 pm ×

І love your blog.. very nice coolors & theme. Diid ʏou maҝe this website youгself or ԁiԀ y᧐u
hire someone tο do іt for you? Plz respond ɑs I'm ⅼooking tօ
construct my own blog and ѡould ⅼike to knoԝ wһere u got
tһis from. thanks

Congrats bro Anonymous you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar