Internet se paise kamaye ji ha friends kya aapne kabhi socha hai. Jis internet ko chalane ke liye hum 500-700 rupey har mahine facebook aur whatsapp par kharch karte hai. Wahi hum 500-700 rupay me internet se paise kama kar apna career bhi bana sakte hai ye bilkul sach hai. In my case india me hazaro log internet se paise kama rahe hai. aap bhi kama sakte hai. But iske liye mehnat ki jarurat hai tabhi aap success ho sakte. Aap to jante hi hai bina mehnat ke kuchh nahi. koi bhi kaam ho jab tak usme mehnat nahi hogi tab tak usme safalta nahi milegi. Internet se paise kamane ke liye bhi aise hi mehnat karni padti hai jaise kisi ke paas job karte hai.
Internet se hum kitne paise kama sakte hai?
Internet se hum jitne chahe paise kama sakte hai iski koi limit nahi ye aapki mehnat aur experience par depend karta hai. Agar aap isme kadi mehanat karenge to ek din wo aayega jab aap 100000+ par month kamayege
Internet se paise kamane ke bahut tarike hai but mein aapko wo 5 popular tarike bataunga jo pure world me paise kamane ke liye use kiye jate hai.
Aa gaya udne wala smartphone. LGdrone phone project 505 full details in hindi
MX player me live IPL kaise dekhe free me. Hindi me jane
Internet se paise kamane ke liye kin chijo ki jarurat hai?
Internet se paise kamane ke liye aapke paas ye 2 chije jarur honi chahiye
1. Computer / laptop
2. Internet connection
Agar aapke paas computer hai to aap aasani se in 5 tariko me se koi bhi use kar sakte hai. Abhi mein aapko sirf ye 5 tarike bata raha hu. aane wale time me ek -ek karke sabhi topic par baat karenge.
Top 5 tarike internet se paise kamane ke
1. Blogging
Blogging ek sabse better way hai paise kamane ka. Iske liye aapko kisi topic par blog (website) banana hoga aur aap adsense ya kisi aur company ke ad apne blog par laga kar blog par aane wale traffic se paise kama sakte hai.
2. YouTube
Youtube bhi ek bahut achha method paise kamane ka isme aapko youtube par apna ek channel bana kar apni khud ki banai hui video upload karni hogi.
Ye blogging ki tarah hi hai par isme video par adsense ke ad lagane hote hai.
3. Facebook
Facebook se bhi paise kama sakte hai.
iske liye aapko ek facebook page banana hoga aur us page par aane wale traffic se aap paise kama sakte hai.
4. Affiliate Marketing
Affiliate marketing ke liye snapdeal, flipkart, Amazon aur bhi bahut si aisi website hain jo product sell karti hai unke link apko apni website ya blog par lagani hai. jab koi us link par click karega aur inki sites se kuchh kharidega to aapko iska commission milega.
5. Freelance Writing
Agar aapke paas achhi writing skills hai to freelance writer bankan aap achhi kamai kar sakte hai aur iske alawa aapko kisi tarah ke tech hassle ka samna karne ki jarurat nahi padti hai, jo blog maintain karte samay hote hai. Sath hi blogging se paise kamane me bahut time lagta hai but freelance writing se aapko kaam pura ho jane ke baad hi pay kar diya jata hai. Aapko apne network me hamesha aise log mil sakte hai jinhe freelance writers ki talash hoti hai ya freelance writing ka kaam search karne ke liye aap online sites ko bhi use kar sakte hai. Yahan do options hai jinko aap select kar sakte hai.
Expert writing ya random topic writing. Ya to aap expertise par
Based article likh sakte hai
Ab aapne ye to jaan hi liya hai ki internet se paise kaise kamate hai agar aap bhi kamana chahte hai to visit karte rahe aapjano.blogspot.com aage in sabhi topic par step by step baat karenge jaise blog kaise banaye youtube chennel kaise banaye. I hope aapko ye jankari bahut pasand aayi hogi comment karke jarur bataye aur apne dosto me post share karna mat bhule.
Ye post bhi padhe>>
Android phone se 3D photo, Selfi kaise click kare.
Mobile chor ko pakde is app ki madad se. Hindi me jane
....Shukriya....
ConversionConversion EmoticonEmoticon