Aa gaya udne wala smartphone. LG drone phone project 505 full details in hindi



LG project 505



Aaj hum aapko aise phone ke baare me batane wale hai jis par aapko viswas karna mushkil hai lekin ye sach hai. To sabse pehle aapko batate hai ki is phone ko kis company ne banaya hai. Is company ka naam bahut hi jana pehchana hai aur aap is company ko bahut achhe se jante hai ye company hai LG lekin isko banane ke liye LG ne Korea me ek company ko diya hai aur iska naam drone phone hai aur is project ka naam 505 hai. Yani ye LG U+ ka drone phone hai. Aur ye 505 project hai.
Chaliye ab jan lete hai is phone me kya hai.



Is phone ki back side me 2 fan hai. Aur ye fan hide bhi ho jate hai. Aur is phone me khas baat ye hai ki ye jo charge hoga is tarike se hoga jaise samsung galaxy S8. Is phone me bahut hi achha sensor diya gaya hai aur ye aapki aankhon ke mutabik udta rahega aap chahe to video calling isme dekhkar ya aap koi bhi kaam kar rahe ho ye phone aapke samne i mean aap jaha chahe wahi rahega.

Android phone ka Factory reset protect (FRP) bypass kaise kare.2 method

Aur bataya ja raha hai ki ye phone aapki aankhon ke samne rahega aur aapke sath sath rotate hota rahega. Aap ise selfi lene ke liye set kar sakte hai ye utne upar ud jayega aur aapki selfi click karega. Is phone me ek torcher hai jisko aap set kar sakte ye utni hi uchai par rehkar aapke sath sath chalega. Abhi is phone ki keemat ke baare me kuchh nahi kaha gaya jaise hi hume pata chalega hum is post me update kar denge. Ab dekhna ye hai ki ye phone kab launch hoga.
...Thank you....


About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post