Mobile chor ko pakde is app ki madad se. Hindi me jane



1 minute me mobile chor pakde


Aapjano me aapka ek baar phir se swagat hai jaisi ki aap jante hai is site par hum ek dam fresh aur usefull post hi publish karte hai aaj ki post bhi bahut achhi hai mujhe ummid hai aapko jarur pasand aayegi. Is post me hum aapko batayege ki mobile chor ko kaise pakadte hai wo bhi kuchh minute me. Is se pehle me aapko batana chahunga ki ye trick tabhi kaam karegi jab aapke mobile phone me ek app pehle se hi install hogi to dosto agar aapne abhi tak app install nahi ki to aaj kar lijiye aur apne phone ko lost hone se bachaye mujhse bahut se mere visitro aur mere doston ne puchha hai ki koi aisi app bataye jisse hum apna phone lost hone ke baad ye pata laga sake ki humara phone kis ke paas hai. Jitne bhi mere dosto ya mere visitro ne mujhse ye puchha hai mein aaj unki problem ka salution lekar aaya hu aur mein unko thanks bolna chahunga ki mujhe ek new topic par post karne ka idea diya. Agar aap bhi aapjano.blogspot.com par koi post share karna chahte hai to hume contact kare agar aapki post hume pasand aayi to hum use aapke naam se is site par publish karege. Chaliye topic par aate hai iske liye aapko jyada kuchh nahi karna bas simply ek app install karni hai jisko aap niche diye gaye link se download kar sakte hai aur is app ko use kaise kare uske liye step follow kare.


Step-1  Sabse pehle play store me jaye aur lockwatch-thief cather app download kare app Yahan click karke direct download kar sakte hai

Step-2  App open kare app ka interface kuchh is tarah hoga image dekhe

1 minute me mobile chor pakde

1. Send alert email ise on kare
2. Email shoul be sent to yaha aap apna email address bhare.

Gmail account kaise banaye hindi me jane.

Android phone ki ram kaise badhaye. Using SD Card

Ab lagbhag aapka kaam ho gaya. Aaj ke time me har koi pattern, Pin, Password etc laga kar rakhta hai. Agar aapka phone lost hota hai to jiske paas aapka phone hoga wo screen lock unlock karni ke liye ek do baar to try karega hi aur jaise hi lock kholne ke liye try karega to aapke email id par uska photo aur location aajayega. Aap ek baar khud try karle apne phone me screen lock lagaye aur use phir unlock karne ke liye kisi galat password , pin, pattern jo bhi aapne lagaya hai type kijiye aur phir kisi dusre phone ya pc me apna email id open kijiye waha aapko ek mail milega jisme phone unlock karne wale ka photo aur location hoga.

MX Player Ac3 not support problem's solution -Hindi Me Jane

Android phone se 3D photo, Selfi kaise click kare.

Aapko ye jankari kaisi lagi comment me jarur bataye aur agar aap humse kuchh puchhna chahte hai to aap hume bejhijak comment karke puchh sakte hai.
Agar post pasand aaye to apne dosto me share karna na bhule.

....Shukriya.....

About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post