Youtube ke liye adsense account kaise banaye.



how to create adsense account


Pehle Humne aapko  bataya tha ki youtube par chennel kaise banaye aur youtube me video upload kaise karte hai. Par is post me hum baat karenge ki adsense account kaise banate hai youtube ke liye. Meine aapko pehle bhi bataya tha ki youtube se hum paise kama sakte hai. Youtube se paise kamane ke liye pehle adsense account banana padta hai tabhi hum youtube par video upload karke paise kama sakte hai. Aaj ki post unke liye bahut useful aur jaruri hai jo youtube par apna talent share kar paise kamana chahte hai. Agar aapne youtube chennel bana liya hai aur usme koi video bhi upload kar rakhi hai to aap adsense account bana kar apna youtube chennel adsense se jod sakte hai.

Youtube par video upload kaise kare. Hindi me jane

Youtube chennel kaise banaye.Videoupload karne ke liye

Adsense kya hai?

Adsense google ki hi ek service hai jo 18 jun 2003 ko launch hui. Jiska kaam online vigyapan dena hai. Aaj dunia bhar me jitne bhi youtube account hai unki income adsense se hi ho rahi hai. Agar aap bhi youtube se paise kamana chahte hai to pehle apna adsense account bana le. Neeche kuchh step hai jinko follow karke aap aasani se apna adsense account bana sakte hai.
Pehle jante hai youtube video par ad display kaise kare.

Youtube video par ads display kaise kare?

Sabse pehle hume apne youtube video par ad display karne hote hai. Ek baar aap apne youtube chennel me apni video check karle ki kahin aapne copyright video to upload nahi kya. Hum apni khud ki banayi video hi monetize kar sakte hai. Agar aapne video kahin se copy kiya hai to aap usse paise nahi kama sakte. Agar simple bhasha me kahu to aap apni khud ki banayi video hi upload kare kahi se copy na kare.

Ad display karne ke liye step follow kare

Step 1. Www.youtube.com par jaye aur login karke apne profile name par click kare.

Step 2. Video manager par click karke videos par click kare.



Step 3. Ab aapko jin video par ads display karne hai. Unko mark karke monetise par click kare.
Aapke youtube video par ads show hone lagege ab bas earning ke liye adsense account ki jarura hai don't worry adsense account banana bahut aasan hai aap niche ke step follow kare.

Adsense account kaise banaye?

Step.1 www.youtube.com par jaye aur login karke Chennel>Settings>Monetization> me jaye.



Step.3 ab jo page khulega usme associate an adsense account par click kare

Step.4 agar aapke paas gmail account hai to Yes' processed to google account sign in par click kare.
Agar aap adsense ke liye new gmail id banana chahte hai to No' Create a new google account par click kare.

Step.5 language select kare aur continue karde

Step.6 ab aapke samne ek form aayega usme sahi detail bhare image follow kare.
1. Yahan apna wo naam likhe jo aapke bank account me hai aur forum me apna address sahi sahi bhare nahi to baad me problem hogi

Google aapko ek mail sent karega jisme aapke adsense account ka status hoga. Matlab aapke adsense account approval hua hai ya disapproval. Is proccess me 2-5 bhi lag sakte hai.
I hope aapko ye post pasand Aayi hogi agar ha to 30 second ka time nikalke post share kare aur agar adsense account se related aapko koi bhi jankari chahiye to aap hume bejhijak comment kar sakte hai.

Android phone ka boot animation kaise change kare.rooted device

MX Player Ac3 not support problem's solution -Hindi Me Jane

....Shukriya...


About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post