Youtube chennel kaise banaye.Video upload karne ke liye





Youtube world ka dusra sabse bada network hai youtube me 100000+ video par day upload hoti hai aur crore ki sankhya me per day viewers aate hai youtube par video upload karne ke liye pehle chennel create karna hota hai tabhi youtube me video upload kar sakte. Aur youtube par hum khud ki banayi hui video upload karke paise bhi kama sakte hai. In my case youtube par jitne chennel jitne video hai wo sab paise kamane ke liye hi upload kiye gaye hai.

Youtube chennel kaise banaye

Youtube se paise kamana koi mushkil kaam nahi. Agar aapke andar talent hai ya aapko kisi vishay ki achhi knowledge hai to aap aasani se youtube se paise kama sakte hai. Shuru me ye aapko bahut hard work lagega par jab aapko youtube ki achhi knowledge ho jayegi to ye aapke liye bahut easy ho jayega aur youtube me aapki income bahut achhi ho jayegi. Youtube se aap paise to kamayenge hi balki aapki ek alag pehchan bhi banegi. Youtube par aap kisi ek topic par chennel bana sakte hai jiski aapko achhi jankari hai chahe wo mobile computer internet se sambandhit ho ya health. Beuty tips, kheti kuch bhi ho par aapko uski puri jankari honi chahiye tabhi aap isme success ho sakte Aur apna talent pure world ke sath share kar sakte hai but aapko ye sab karne se pehle youtube par ek chennel banana hoga aapka jo youtube chennel hoga usme hi aapki video upload hogi youtube chennel ko hum youtube account bhi bol sakte hai aapko apne youtube chennel ka naam kuchh aisa rakhna chahiye ki viewers ko aapke chennel ka naam dikhte hi pata chal jaye ki isme kya milega. Ye chennel kis topic par hai aur kis tarah ki video dekhne ko milegi matlab aap apne chennel ka naam apne topic par hi rakhe. Aayiye dekhte hai youtube chennel kaise banate hai.

Mobile chor ko pakde is app ki madad se. Hindi me jane

MX player me live IPL kaise dekhe free me. Hindi me jane

Youtube chennel kaise banaye.



Step.1) www.youtube.com par jaye aur apni gmail id se sign in kare

Step.2) sign in karne ke baad upar aapko account icon dikhega us par click kare

Youtube account icon


Step.3) setting icon par click kare

Youtube setting icon

Step.4) See all my channels or create a new par click kare



Step.5) ab jo page khulega usme aapko create a new channel par click karna hai

Step.6) Apne chennel ka naam likhe aur category select kare


Create chennel name


Step.7) I agree to the page term par tik kare aur Done kar de 


Congratulation.. Ban gaya aapka youtube chennel ab aap youtube me video upload kar sakte hai. Agar post pasand aaye to post share na bhule. I hope aapko ye jankari bahut pasand aayi hogi aur aapke liye usefull bhi sabit hogi. Agar. Youtube chennel create karne me kahin koi problem aaye to aap humse comment karke puchh sakte hai.

Ye post bhi padhe>>
Android phone se 3D photo, Selfi kaise click kare.

Apne friend ko call kare usi ke number se. Aapna real no. Chhupaye.

...Shukriya...

About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post