Android phone ke liye top 5 popular antivirus.



Secure your smartphone


Antivirus ke baare me to aap bakhubi jante hai ki antivirus ka kya kaam hai agar nahi jante to aaj hum aapko antivirus ki full details batayege ki antivirus kya hai aur ye kaise kaam karta hai. Antivirus ko har smartphone user apne phone ko secure rakhne ke liye use karta hai. Antivirus smartphone ki speed badhane aur junk file remove karne me humari help karta hai. Aur antivirus ka sabse achha kaam hai andoid phone ko hack hone se bachana. Ji ha friends antivirus humare phone ko hackers se bhi bachata hai. Aur iske sath hi browser ko bhi secure rakhta hai. Internet par hazoro ki tadat me antivirus pade hai lekin real me jo antivirus work karte hai wo jyadatar paid hote hai matlab unko use karne ke liye pehle hume pay karna hota hai tabhi use kar sakte hai. Bahut si company aisi bhi hai jo hume free me ek bahut achha antivirus provide karti hai aaj hum aapko aise hi 5 antivirus ke baare me batayege jo bilkul free hai aur aapka data, phone, ko secure rakhne me help karege. Chaliye ab topic par aate hai.

Aa gaya udne wala smartphone. LGdrone phone project 505 full details in hindi

2017 ki jabardast selfi app. Internet par macha rakha hai dhamal.

1. Avast mobile security.

Avast mobile security ye ek bahut achha aur bahut famous antivirus hai aap ise play store se download kar sakte hai ye aapke phone ki security badhane aur junk remove karne me bahut achha rahega.

2. 360 mobile security.

360 Mobile security bahut hi popular app hai. Is app me aapko app lock bhi milega jisse aap apne app ko secure rakh sakte hai ye app aapko play store me mil jayega

3. Clean Master.

Clean Master bhi ek bahut achha antivirus hai meine ise kaafi din use kiya. Is antivirus me aapko app lock milega aur iske sath hi jo is lock ko unlock karne ki koshish karega uska photo click kar dega. Jisse aapko pata chal jayega ki humare phone me kisne ungali ki hai.


4. Avira security.

Avira antivirus security is app ko bhi aap apne smartphone me antivirus ke tour par istemal kar sakte hai meine ise kabhi use nahi kya isliye mein iske baare me jyada kuchh nahi janta  but ye top 5 free antivirus ki list me hai.

Apne friend ko call kare usi ke number se. Aapna real no. Chhupaye.

Android phone ki ram kaise badhaye. Using SD Card

5. Superb cleaner.

Superb cleaner ek bahut small app hai ye aapke phone ke junk file remove karne ka bahut achha app hai aur ye aapke phone ko heat hone bachata hai jab aapka phone heat hoga to ye uska notification dega.
I hope aapko ye jankari pasand aayi hogi. Agar aapke paas bhi hai internet, mobile, computer se related koi jankari to aap hume contact forum me bata sakte hai aapki post ko is site par aapke naam aur address ke sath publish kiya jayega.

Ye post bhi padhe>>
MX Player Ac3 not support problem's solution -Hindi Me Jane

Android phone se 3D photo, Selfi kaise click kare.

....Thank You....

About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post