Top 10 free Responsive, seo and mobile friendly blogger template.



Top 10 blogger blog template


Blog banane ke baad new blogger ko jo sabse jyada problem hoti hai. Wo hai template kyonki blogger ki jo officially template hai wo old aur bahut hi simple hai. Inme koi bhi widged nahi hote jo blog ke liye bahut important hai jaise popular post feature post email subscribe widged aur bhi bahut se widged ki jarurat hoti hai. Isliye hume apne blog me custom template lagani padti hai aur jo new blogger hai unhai ye nahi pata hota ki template kis tarah ki honi chahiye aur template me kya kya features hone chahiye. Aaj me aapko in sabhi ke baare me details ke sath bataunga. Agar aap bhi new blogger hai aur template ke baare me soch rahe hai ki blog par konsi template lagaye to aaj aapki problem solve ho gayi. Kyonki me aaj aapko aisi 10 free template ke baare me batane wala hu jo kisi paid template se kam nahi hai.

Blog (website) kaise banaye Online business ke liye.

Blogger blog ki template kaise change kare. Hindi me jane

Aap jab bhi blog ke liye template download kare to ek baat ka dhyan rakhe ki template seo friendly mobile friendly aur fast loading honi chahiye. Kyonki in features wale blog par jyada traffic aane ke chances hote hai. Waise blogger ki jo officially template hai unko bhi hum seo friendly aur mobile friendly bana sakte hai par isme bahut mehnat karni padti hai. In my case jab hume free me ek unique look wali template free me mil rahi hai to phir itni mehnat kyu kare. Chaliye ab topic par aate hai.

1. Ribbon.

Ribbon ek bahut hi famous blogger template hai ye template blogger blog par sabse jayda use hoti hai. Ye template seo friendly hai aur is template me 1 sidebar. 1 column. Aur footer me 3 columns diye gaye hai jisse template ka look bahut achha dikhta hai. Aap niche demo par click karke demo dekh sakte hai aur download karne ke liye download par click kare.
               Demo                 Download

Internet se paise kamane ke top 5 tarike.

2. Minima colored 3 mag.

Minima colored 3 mag ek bahut achhi template hai. Me is site par yahi template use kar raha hu. Aapko batate hai ki is template me kya features hai. Is template me email subscribe widged social bookmark ready tabbed widged ready drop down menu 1 sidebar 2 column aur bhi bahut features diye gaye hai. Mein iske baare me jyada nahi bataunga kyonki aap is site par iska demo dekh sakte hai aapko sab kuch pata chal jayega ki is template me kya hai aur kya nahi hai. Agar aap new blogger hai aur aapko coding nahi aati to mein aapko suggest karunga ki aap is template ko use kare.
                         Download

3. Convesion.

Convesion Free Version bhi ek unique look wali aur better features wali template hai. Ye template seo friendy, fully mobile friendly aur bhi bahut normal se features hai aap iska demo dekh le agar pasand aaye to apne blog par try kare.
                  Demo              Download


4. Simplify Responsive.

Simplify Responsive bhi ek famous blogger template hai is template me seo friendly, mobile friendy jaise sabhi features diye gaye hai.
                   Demo              Download

Youtube chennel kaise banaye.Video upload karne ke liye

5. G Vusion 2. 

G Vusion V2 bhi ek bahut achhi template hai fast loading ke sath sath seo friendly aur moblie friendly bhi hai india me ise kaafi blogger use kar rahe hai.
                    Demo             Download

6. CopyBlogger V2

Copy Blogger-V2 bhi in sabhi ki tarah ek better look wali template hai aur agar iske features ki baat kare to seo friendly mobile friendly ke sath sath aur bhi bahut se features hai aap ise try kar sakte hai.
                    Demo             Download

7. Sensation

Sensation ek better look free template me se ek hai ye template mobile optimised, ad ready, seo friendly hai.
                    Demo             Download

8. Max Mag Responsive.

Max Mag Responsive is template ko Wordpress template se convert kar blogger template me kiya gaya hai template ka look bahut hi achha hai ye template fast loading mobile friendly, seo friendly, aur drop down me hai.
                     Demo             Download

Youtube ke liye adsense account kaise banaye.

9. Gordon.

Gordon template un bloggero ke liye hai jo better look ke sath sath simple template bhi chahte hai ye kuchh aisi hi template ek dam simple aur unique look is template me 2 column diye gaye hai aur ye mobile friendly seo friendly fast loading aur ads ready template hai agar aap apne blog ko better and simple look dena chahte hai to mein aapko suggest karunga ki isi template ko use kare
                     Demo            Download




10. Palki 2 Responsive.

Palki 2 Responsive ek bahut best template hai is template me 3 footer columns diye gaye hai aur isme  seo friendly fast loading social share botton jaise bahut features hai ye template customize karna bahut aasan hai.
                    Demo             Download

I hope aaj un logo ki problem solve ho gayi hogi jo apne blog ko ek better and website jaisa look dena chahte hai. Agar post pasand aayi hai to share kare. Aur agar aapke paas bhi koi internet mobile aur computer se related jankari hai to hume contact forum me bataye aapki post ko aapke naam aur address ke sath publish kiya jayega.

Ye post bhi padhe>>
2017 ki jabardast selfi app. Internet par macha rakha hai dhamal.

Google ki ye 5 shandar tricks jinko dekhkar ud jayege aapke hosh

Android phone ka Factory reset protect (FRP) bypass kaise kare.2 method

....Thank You....

About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post

6 comments

Click here for comments
Anonymous
admin
April 16, 2018 12:22 pm ×

Mujhe aap ke blog ka Template chahye,
JitenderAndKumar@gmail.com

Reply
avatar
April 20, 2018 7:53 pm ×

Jitender Kumar
Main minima colored 3 mag use kar raha hu but maine fully customize kar rakha hai

Reply
avatar
Unknown
admin
May 05, 2018 10:07 am ×

Tum kon sa template use karte ho

Reply
avatar
May 18, 2018 11:44 am ×

Minima color 3 mag use kar raha hu

Reply
avatar
May 18, 2018 11:45 am ×

Minima color 3 mag use kar raha hu

Reply
avatar