Blogger blog ki template kaise change kare. Hindi me jane



How to change blog template


Blog banane ke baad new blogger ke dimaag me sirf ek hi sawal hota hai ki template kaha se download kare aur blog me kis tarah ki template use kare. Don't worry is post me aapko template se jude sabhi sawalo ke jawab mil jayenge ki template kya hai blog ki template kaise change kare. Internet par template download karne ki bahut site hai aap google par search karke aasani se download kar sakte. Ya phir  mythemeshop.com par jaye is site par bahut achhi template free me mil jayegi But aap mobile friendly, seo friendly aur, fast loading aur better looking wali template dekh kar hi download kare
Template kya hai?

Template 2 tarah ki hoti hai ek free aur ek paid. Free template design karna padta hai aur isme template dene wali site ki creadit link aayegi. Paid template aapko fully design milega but agar aap new blogger hai to mein aapko suggest karunga ki aap free template hi use kare. Aap chahe to baad me bhi change kar sakte hai. Template 'xml' file me hoti hai but aap jo template download karenge wo zip file me hogi aapko ise extract karna padega. Extract karne ke liye play store se easy unrar app download kare iss aap se aap aasani se apni zip file ko extract kar sakte hai.

Blog ke liye template bahut jaruri hai. Kyoki agar aapke blog ka design achha nahi hoga to jo visiter ek baar aayega wo phir dobara nahi aayega. Matlab template hi aapke blog ka main part hai. Template change karna bahut aasan hai but blog design karna bahut mushkil don't worry humari site par aapko blogging ki A2Z jankari milegi. Humari site khas kar blogging ke liye hi hai. Visit karte rahe aapjano.blogspot.com Chaliye ab topic par aate hai.

Top 10 free Responsive, seo and mobile friendly blogger template.

Internet se paise kamane ke top 5 tarike.

Template kaise change kare?
Step follow kare 

Step.1. Apne blog ke Dashboard>>Template>> Backup, Restore me jaye

Step.2 choose file par click kare aur apni template select kare.

Step.3 Apni template file select kare aur upload par. Click kar de

..Congratulations.. Aapke blog ki template change ho gayi hai aap apna blog visit karke dekh sakte hai agar template change karne me koi problem aaye to aap humse comment me puchh sakte hai.

Ye post bhi padhe>
Android phone se 3D photo, Selfi kaise click kare.

MX player me live IPL kaise dekhe free me. Hindi me jane

Youtube chennel kaise banaye.Video upload karne ke liye

...Shukriya...

About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post