Blog me social follow widged kaise add kare. Hindi me jane




Kal meine aapko bataya tha ki Blogger blog me email subscriber widged kaise add kare. Is post me mein aapko bataunga ki blog me social follow widged kaise add karte hai. Social follow widged blog ke liye bahut important hai. Kyonki iske bina humara adsense approval nahi hoga aur isse humare visitor bhi social network jaise facebook Twitter Instagram google+ par hamare satha jud sakte hai aur apne sawal aasani se humse puchh sakte hai.

Blog me social follow widged add kare

Agar aapne blog bana rakha hai aur aap adsense ke liye soch rahe hai to me aapko suggest karuga ki pehle blog ko puri tarah se complete kare tabhi adsense ke liye apply kare. Adsense apply karne se pehle blog me bahut se page aur kuch widged hai jinko hume apne blog me jarur add karna hota hai. Humari is site par aapko blogging ki A 2 Z jankari milegi. Jinko hum apni ek ek post me details ke sath batayege. Ye post un logo ke liye hai jo new blogger hai aur coding ki knowledge nahi hai. Kyonki koi bhi widged add karne ke liye hume coding ki jarurat hoti hai. But agar aapko coding nahi aati to bhi chalega kyonki is site par hum jo bhi jankari dege wo coding ke sath dege aapko koi bhi coding karne ki jarurat nahi hai. Agar aapne abhi tak blog nahi banaya hai to ye post padhe aur blogging me apna career banaye Blog (website) kaise banaye Online business ke liye.
Chaliye ab der na karte hue topic par aate hai.

Blog me social follow widget kaise add kare

Most Read>>
Top 10 free Responsive, seo and mobile friendly blogger template.

Blogger blog ki template kaise change kare. Hindi me jane

Isko aap bahut hi aasani se kar sakte hai. Niche kuch step hai jinhe aapko follow karna hai.

Step 1. Sabse pehle niche diye gaye code ko copy kare.



Step 2. Is code me aapko Facebook Url, Twitter Url, Google+ url ki jagal apna url dalna hai


Step 3. Blogger ke Dashboard >> Layout me jaye.

Step 4. Add a gadged par click kare.

Step 5. HTML/Javascript select kare aur yaha apna code paste karde jo aapne step 1 me copy kiya tha.

Ab aapke blog me social follow widged add ho chuka hai aap check kar sakte hai. Agar widged add karne me koi problem aa rahi hai ya aap humse kuchh puchhna chahte hai to aap humse comment me puchh sakte hai. I hope aapko ye jankari pasand aayi hogi comment me jarur bataye.

Ye post bhi padhe>>
Facebook hacking software jane kya hai reality? Real ya fake.

Google ki ye 5 shandar tricks jinko dekhkar ud jayege aapke hosh

Aa gaya udne wala smartphone. LGdrone phone project 505 full details in hindi

....Thank You....

About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post