Ab Bina Touch Kare Chalaye Smartphone Aankhon Ke Ishare se.



Use android with facial mouse


Bina touch kare chalaye apna smartphone ji ha doston sahi suna aapne aaj mein aapke liye kuchh aisi hi trick lekar aaya hu jise aap aasani se use karke apne smartphone ko bina touch kiye chala sakte hai aankhon ke ishare se. Ye sunne me bada azeeb sa lagta hai aur ho sakta hai aapko ispar viswas na ho but ye bilkul sach hai. Jab mujhe is trick ke baare me pata chala tha to mujhe bhi ye fake laga tha but jab meine isko use kiya tab mujhe yakeen hua.

2017 ki jabardast selfi app. Internet par macha rakha hai dhamal.

MX player me live IPL kaise dekhe free me. Hindi me jane

Is trick se aapko apna phone chhune ki jarurat nahi hai. Aur aap badi aasani ke sath apna phone use kar sakege. Is post me mein aapka jyada time nahi lena chahunga. Aur na hi isko use karne me aapka jyada time lagega. Iske liye niche kuchh step diye gaye hai jinko follow karke aap aasani se apne phone ko bina touch kiye chala sakte hai.

Apne friend ko call kare usi ke number se. Apna real no. Chhupaye.

Step 1.  Sabse pehle aapko play store me jane hai aur EVA facial mouse install kare aap Yahan Click karke bhi download kar sakte hai.

Step 2.  App install, open kare. Jaise hi aap open karege aapke samne kuchh is tarah ka message aayega " To start EVA, go to Settings, accessibility, eva facial mouse. Ise aapko ok karna hai.

Step 3.  Ab aapke samne aapki accessibility setting open ho jayegi. Yaha aapko EVA facial mouse on karna hai.

Step 4.  App aapse kuchh permission mangega jinhai aapko de dena hai.


Step 5.  Ab aapke samne jo page khulega isme aapko top left side me × ka nishan dikhega aapko yaha sahi ka nishan lana hai. Kaise aayega chaliye me batata hu aapko apne phone ki Settings >> Language & Input me jaye aur current keybord par click kare yaha aapko EVA keyboard select karna hai agar eva keyboard ka option nahi aa raha hai to aap select more par click kare aur eiva keyboard ko select karle.

Step 6. Eiva facial mouse ko open kare next par click kare. Ab ye app aapka face detect karega.

Step 7.  Face detect karne ke baad next par click kare aur ab aap dekh sakte hai ki aapke phone me mouse aa gaya hai. Ab next karte jaye aur finally finish karde.

Ab aap apne phone ko bina touch kiye chala sakte hai. Agar aapko ye trick use karne me koi problems aaye to aap hume comment me bata sakte hai. I hope aapko ye jankari pasand aayi hogi comment me jarur bataye.

Ye post bhi padhe>>
Android phone ki ram kaise badhaye. Using SD Card

MX Player Ac3 not support problem's solution -Hindi Me Jane

....Thank You....

About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post