Facebook Friend Request disable kaise kare. In Hindi



Disable facebook friend request


Hi Friends Kaise hai aap i hope bahut achhe honge. Bahut dino ke baad post kar raha hu because main kisi argent kaam me fas gaya tha. Iss post me main aapko bataunga ki facebook friend request kaise disable kare. Doston aap jante hai ki har smartphone user facebook use kar raha hai. Jiske karan hume din me pata nahi kitni friends request aati hai. Jinme jyadatar aise log hote hai jinko hum jante nahi to ya yun kahe ki hume inki post me intrust nahi hota. Aur agar aap ek girl hai to aapse behtar koi nahi jan sakta hai ki friend request se kitne preshan aa jate hai because maine dekha hai ki ladkiyon ke account par bahut jyada friend request aati hai. Agar aap bhi friend request se preshan hai to is chhoti si post ko pura padhe. I hope aapki problem solve ho jayegi. Chaliye ab aapko batate hai ki facebook friend request kaise disable karte hai.


Friend Request kaise disable kare.


1. Facebook open kare aur apne account me login ho jaye.

2Account settings me jaye.

3. Privacy par click kare.

4. Who Can Send You Friend Request me jaye.

5. No One Select kare.

Note: No One option tabhi aayega jab aapke account me bahut jyada request aati hogi. Agar aapke account me No One ka option nahi hai to Friends Of friends select kare. Isse aapke account me request aana bahut kam ho jayegi.

To friends is tarah aap jyada friends request se bach sakte hai i hope aaoko ye post pasand aayi hogi. Agar post se related aapka koi question hai to aap comment me puchh sakte hai

...Shukriya...



About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Newest