Ye 10 Kaam Pan Card Ke Bina Aap Kabhi Pura Nahi Kar Sakte



Pan Card Details in hindi


Aadhaar card ke baad ab 10 digit wala aapka pan card, Jo ki Income tax department me aapki Representation Fixed karta hai bhi bahut important ho gaya hai. Aapko chahe passport banwana ho ya phir bank me account khulwana, ITR filing karni ho ya phir cash me koi bada len den karna ho inn sabhi kaamo ke liye pan card ki necessity kisi se chhipi nahi hai. Hum apni iss post me aapko batane ki koshish karenge ki aap pan card ke bina kin 10 kaamo ko nahi kar sakte .

1. Bank Account Open karne ke liye

Kisi bhi private, public co-operative ya bank me account open karne ke liye Application Form me pan card ki jankari dena jaruri hai. Aur iske sath hi 50,000 ya isse jyada cash jama karne ya nikalne par bhi pan card dena jaruri hai.

2. New Phone Connection Ke Liye

Aap agar ghar ya Business ke liye naya phone Connection lene ki soch rahe hai to celular ya telephone ke installation ke time par pan card ki jankari dena jaruri hai .

3. Foreign Travel Ke Liye

 Agar aap videsh ghoom rahe hai aur 1 din me 25000 rupees se jyada Expenditure kar dete hai to aapko pan card ki copy jama karni padegi.


4. Loan Lene Ke Liye

Jab bhi aap loan ke liye apply karte hai to sabhi bank ya Financial Institute aapke pan card ki jankari ki mang karte hai. Aapko bata de ki education loan se lekar personal loan tak pan card ki jankari jaruri hai nahi to loan application reject kar di jati hai.

 5. Hotel ke Stay Ke Liye

 Agar aap india ya videsh me kisi hotel ya restaurant me ruke hue hai aur aapka bill 25,000 rupees se jyada ka hai to aapko pan card ki jankari dena jaruri hai.

6. Investment ke Liye

Jyadatar log tax bachane ke chakkar me apni money ELSS me Investment kar dete hai. Isliye mutual funds me Investment ke liye pan card ki jankari dena jaruri hai. Yeh us situation me jaruri hai jab Investment 50,000 rupees ya usse jyada ka ho. 

7. Share Broker Ke Sath Account Open Karne Ke Liye

Share market me trending ke liye share Broker ke sath account open karna hota hai iske liye pan card ki jankari dena jaruri hai agar aap pan card ki jankari nahi dete hai to aapki application reject ho sakti hai .

8. Property Buy Ya Sale Karne Ke Liye 

Agar aap 500,000 ya usse jyada ki money se property Buy Ya Sale kar rahe hai to aapko pan card ki copy jama karani hogi agar aap property joint property hai to dono sajhedari ki pan card ki jankari jaruri hai. 



9. Credit Aur Debit Card Ke Liye

Credit aur Debit Card dono ke application ke liye pan card jaruri hai yaha bhi pan jama na hone par application reject ho sakti hai. Isse aapke credit score par bhi bura asar padta hai. Aisa hone par Future me loan ya credit card milne ke chance kam jo jate hai.

10. Vehicle Buy Ya Sale Karne Ke Liye

Agar aap 500,000 ya usse jyada ka Vahan Buy Ya Sale Karne ki soch rahe hai to  to iske liye pan card jaruri hai.

About Author:

Hello Dosto, Mera naam Gulrez Siddiqui hai. Mujhe logo ki Help karna bahut achha lagta hai. ye website meine banayi hai yahan par mein logo ki hindi me help karta hu. is site par aapko internet, blogger, youtube, seo, adsense, tips and tricks se related puri jankari hindi me milegi.


Twitter | Facebook | Google Plus

Previous
« Prev Post