Google ka latest android version OREO launch ho gaya hai. Waise to developer previews me sab bataya hi ja chuka hai. But aapko isse kya fayda milne wala hai aur kin devices ke liye ye update available hai wo hum aapko batayege.
2 guna fast bootup.
Android oreo 8.0 aane ke baad device ka boot up time 2 guna fast ho jayega. Phone ke configure hone se lekar switch on hone ka time kaafi kam ho jayega.
Background me faltu app nahi chalege.
Background me chalne wale faltu app se chhutkara milega. New android update karne ke baad background me chal kar device ka power khane wale apps ko ye khud band kar dega. Jisse aapko battery backup bahut achha milega.
Autofill yaad rakhega.
aapke alag - alag login aur password yaad rakhne ka kaam karega. Autofill me kisi bhi app me login karna aasan ho jayega.
Picture in picture se ek sath do apps me kar sakege kaam.
Maan lijiye aapke ghar se video call aaya hai aur aapke daddy puchh rahe hai ki ghar kab aaoge to aap apna calendar kholkar call par baat karte karte hi date dekhkar bata sakte ho. Isi tarah agar dost ne WhatsApp par koi majedaar video send ki hai aur wo puchh raha hai ki video kaisi hai aapko kaisi lagi to aap video dekhte dekhte hi us friend ko massage karke bata sakte ho.
Notification dots se turant dekh sakenge kya naya hai.
Ab tak agar kisi app ka koi notification aata tha to uske icon par 1,2,3 yani notification ka number likha hota tha jinhai aapko app kholkar dekhna padta tha. Lekin ab icon ke upr 3 dots bane hoge jinpar tap kar aap pura notification dekh sakenge. aur agar koi notification kaam ka nahi hai to use swipe kar hata sakte hai.
Google play protect apps ko scan kar data safe rakhega.
Google ka play protect app isme preloaded milega aur aapke apps ko malware ke liye scan karega. Aur iske sath hi aapke data ko bhi lost hone se bachayega.
Battery life behtar hogi.
Android ke new version 8.0 oreo me battery optimization feature hoga jo battry ka faltu istemal ghatayega aur battery lambe samay tak chalegi.
Imoji ka naya design aur 60 se jyada naye imoji milege. Google ke chapte imoji hatkar ab gol chehre wale imoji aa jayenge.
Kise mil raha hai update.
New Android version ka update sabse pehle google ke devices par aayega google ke pixel aur Nexus series ke smartphone par yeh update sabse pehle mil raha hai.
ConversionConversion EmoticonEmoticon